Haan, mushkil hai dil ko dobara jod paana,
Takleef mein phir kisi ka dast-e-hunar thaam paana.
Yaadon ke saaye mein din guzarne deti hun,
Raaton mein khud ko phir samet leti hoon,
Haan, mushkil hai zindagi ko aage le chalna,
Magar jhoothi tasalliyon ke daaman mein dard ko poshida kar leti hoon.
Mohabbat se ab khauf lagta hai,
Apni zaat ko khona har dafa mehnga padta hai.
Kitna samjhau apne dil ko?
Mera akelapan har roz mere jakhm ko fosh karta hai.
Haan, mushkil hai…
Magar kabhi kabhi mar mar ke bhi hme zindgi se sarabor hona padta hai..!

