Tuesday, February 24, 2015

Poem on Nari Shakti

Poem on Nari Shakti


Nannhe nannhe kadmo se aati hai man aangan mehkati hai..
Ha wo LAXMI hai..!
Maa Baap ke naajo se pali ..
Padh likh kr dusro ka bhavishya banati hai
Ha wo SARASWATI hai..!
Babul ki duai aur maa ke ashirwad se bani imarat hai wo,
Ha wo PARVATI hai..!
Jo her kisi ka khayal rakhti , bhuki khud soti hai ,pr sabka pate bharti hai
Ha wo ANUPURNA hai..!
Wo jag se lade andhi me chale,
Apno ke liye SITA dushmano ke liye KALI hai..
Wo hai shubh kalash,
Wo hai jag janni,
Wo hai maa DURGA,
Wo hai maa KALI,
Ha wo hai NARI
Ha wo hai NARI
Ha wo hai NARI
Salam karte hai hm , aj ki nari ko ..!!
JAI NARI..!!!  JAI BHARAT…!!!




Sunday, February 15, 2015

Shiqayatien

Aaj kal is bhag dodh bhari jindgi me, yu to log teji se aage badtey jar he hai, magar kuch to hai jise hm aur aap kahi na kahi andekha kr rhe hai .
Atpati si baat to ye hai ki hm jise andekha karte ja rhe hai, bhavuk tor pe hme bar bar uska samna karna padta hai.
Aur inhe khte hai “SHIQAYATIEN”.
Shiqayatien , ye wo pehlu hai asal jindgi ki jinhe jhuklaya nhi ja sakta. Aaj hm sab apni apni jindgiyo me is kadar wyast hai, ki hmare pas aapas ke matbhed  wa shiqayaton ko bhi suljhane ka samay nhi hai.
Is isthithi me hm yato rishton ko chodh ke aage nikal jate hai, ya fir hm ek nirjeev ristey ki isthapana kr lete hai.
Shiqayatien jindgi ki wo rasam hai , jo hr rishtey ko kabhi na kabhi jarur jeeni padti hai.
Kitni ajeeb si baat hai na….!!!   kabhi kabhi hm apne aap me itna uljhe jate hai ki hme ye bhi gyat nhi ho pata ki , hme asal shiqayat kisse hai , DUSRO se ya KHUD se?
Agar mai baat yaha apni karu to , jindgi ki is uuch nich bhari isthitiyo me , mai aksar is kadar fas jati hu ki , shiqayat mujhe hai kisse , khud se ya kisi aur se..?? iska mujhe pata hi nhi chal pata , is isthithi me mai apne apko bhut jhunjhlaya hua mhsus karti hu .
Khaine ke liye shiqayat ek chota sa koot ahsas hai. Magar, kisi bhi rishtey ki neev  hilane ke liye kafi hai. Isiliye rishta koi bhi ho usme shiqayatein na hone de , rishto ko hamesha itna pardarshi banaiye ki shiqayaton ki koi gunjaish hi na rh jai .
Maine aksar is baat ko dekha aur mehsus kiya hai ki , koi badi shiqayat kisi rishtey me shayad kam tikha vaar kare, magar rishto me matbhed paida karne me khasi mojudgi  choti choti shiqayaton ki hoti hai .
Dosto shiqayat hr rishtey me hoti hai, chahe wo, saas ko bahu se ho , baap ko bête se ho ya fir nand ko dever se . is tarah ki shiqayatien hme aksar dekhne ko mil jati hai , per mera manna hai ki agar ise khasa sire se hi khatam kr diya jai to ye sari shiqayatien prem bhav me parivartit hokr rishton ko ek pardarshi roop dekr , rishton ki neev aur bhi majboot kr deti hai.
Mujhe apne jeevan me yu to shiqayat kisi se bhi nhi, per dukh hota hai, un logo ko dekh kr jo apni jindgi me rishton me paida hone wali shiqayaton pe gorr na kr ke unhe andekha karte hai. Jiski wajah se kai log,kai rishtey bikhr jate hai.
Mujhe purn vishwas hai ki aap sab ne bhi apne aas paas aise kai rishton ko shiqayaton ki baali chadte dekha hoga .
Jara sochey.. agar in bikharte rishto me shiqayatien na hoti to..? ya fir shiqayaton ko door kiya jata , rishton me pardarshita banai jati to kya aisa hota ?
Hm sabko ispr sochne ki jarurat hai, shiqayaton ko dur karne ki jarurat hai.

Insaan ata to is dharti per akela hai , per yaha aaker use uski jindgi ka wo sabse khoobsurat tohfa milta hai jinhe hmsb “RISHTEY” khtey hai.
Apne is BLOG ke is phle leekh ka ant karne se phle , bs itna hi khana chaungi ki.
Rishta chai jo bhi ho “SHIQAYATIEN” na hone de ,jab kabhi bhi apke man me kisi ke prati shiqayat janam le to turant hi uska nivaran kare , ise rishton me pardarshita aur majbuti ka janam hota hai aur apka us vyakti ke prati mann saaf aur prafulit rhta hai .